% ITRANS song...
% --------------
% Film:	    Pakeezah
% Starring:   Rajkumar \& Meena Kumari
% Lyrics:	    Kamal Amrohi
% Music:	    Ghulam Mohammad \& Naushad
% Singer(s):  Lata Mangeshkar
% --------------
% Credit(s):  vinchhi@eng.umd.edu (Chetan K. Vinchhi)
% Credit(s):  narayan@ucsu.Colorado.EDU (Anand P. Narayan (Banana))
% Translit:   gopala@cs.wisc.edu (Venkatasubramanian K. G)
% Corrections: anurag@astro.indiana.edu (Anurag Shankar)
%---
\startsong
\songtitle{Pakeezah}{Lata Mangeshkar}{Kamal Amrohi}{Ghulam Mohammad \& Naushad}
\indian % Begin indian text....same as !<
%
    mausam hai aashiqaanaa
    ai dil kahii.n se unako aise me.n Dhuu.NDh laanaa

    kahanaa ke rut javaa.n hai, aur ham taras rahe hai.n
    kaalii ghaTaa ke saae, birahan ko Da.Ns rahe hai.n
    Dar hai na maar Daale (saavan kaa kyaa Thikaanaa) \- (2)
    mausam hai \threedots

    suuraj kahii.n bhii jaae, tum par na dhuup aae
    tumako pukaarate hai.n, in gesuo.n ke saae
    aa jaao mai.n banaa duu.N (palako.n kaa shaamiyaanaa) \- (2)
    mausam hai \threedots

    firate hai.n ham akele, baa.nho.n me.n koii le le
    aakhir koii kahaa.N tak, tanahaaiyo.n se khele
    din ho gae hai.n zaalim (raate.n hai.n qaatilaanaa) \- (2)
    mausam hai \threedots

    ye raat ye khaamoshii ye Kvaab se nazaare
    jugnuu hai.n yaa zamii.n par, utare hue hai.n taare
    betaab merii aa.Nkhe.n (madahoshh hai zamaanaa) \- (2)
    mausam hai \threedots
%
\endindian % End indian text....same as >!
\endsong
% ----
% send songs, corrections, etc to Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% ----
