% ITRANS song...
% --------------
% Film: 
% Singer: Rafi and Lata
% Music: 
% --------------
% Credit:
% cesaa129@utacnvx.uta.edu (C. S. Sudarshana Bhat)
% ITRANS conversion: gopala@cs.wisc.edu (Venkatasubramanian K Gopalakrishnan)
% Corrections: anurag@astro.indiana.edu (Anurag Shankar)
%---
\startsong
\songtitle{}{Rafi and Lata}{}{}
\indian % Begin indian text....same as !<
%
    pattaa pattaa buuTaa buuTaa
    haal hamaaraa jaane hai, pattaa pattaa\threedots
    jaane na jaane gul hii na jaane
    baag to saaraa jaane hai, pattaa pattaa\threedots

    koii kisii ko chaahe, to kyuu.n gunaah samajhate hai.n log
    koii kisii kii khaatir, tarase agar to ha.Nsate hai.n log
    begaanaa aalam hai saaraa, yahaa.N to koii hamaaraa
    dard nahii.n pahachaane hai, pattaa pattaa\threedots

    chaahat ke gul khile.nge, chalatii rahe hazaar aa.Ndhiyaa.N
    ham to kisii chaman me.n, baa.Ndhe.nge pyaar kaa aashiyaa.N
    ye duniyaa bijalii giraae, ye duniyaa kaa.NTe bichhaae
    ishq magar kab maane hai, pattaa pattaa\threedots

    dikhalaae.nge jahaa.N ko, kuchh din jo zindagaanii hai aur
    kaise na ham mile.nge, hamane bhii dil me.n Thaanii hai aur
    abhii matavaale dilo.n kii, muhabbat vaale dilo.n kii
    baat koii kyaa jaane hai, pattaa pattaa\threedots
%
\endindian % End indian text....same as >!
\endsong
% ----
% send songs, corrections, etc to Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% ----
