% ITRANS song...
% --------------
% Film: 
% Singer: 
% Music: 
% --------------
% Credit:
% cesaa129@utacnvx.uta.edu (C. S. Sudarshana Bhat)
% gopala@cs.wisc.edu (Venkatasubramanian K Gopalakrishnan)
% ITRANS conversion: avinash@acm.org (Avinash Chopde)
% Corrections: anurag@astro.indiana.edu (Anurag Shankar)
%---
\startsong
\songtitle{}{}{}{}
\indian % Begin indian text....same as !<
%
  ab vo karam kare.n yaa sitam mai.n nashe me.n huu.N
  mujhako na koii hosh na Gam mai.n nashe me.n huu.N

    siine se bojh unake Gamo.n kaa utaar ke
    aayaa huu.N aaj apanii javaanii ko haar ke
    kahate hai.n Dagamagaate qadam mai.n nashe me.n huu.N

    vo bevafaa hai.n ab bhii ye dil maanataa nahii.n
    kambaKt naasamajh hai unhe.n jaanataa nahii.n
    mai.n aaj to.D duu.ngaa bharam mai.n nashe me.n huu.N

    furasat nahii.n hai rone rulaane ke vaaste
    aae na unakii yaad sataane ke vaaste
    is vaqt dil kaa dard hai kam mai.n nashe me.n huu.N
%
\endindian % End indian text....same as >!
\endsong
% ----
% send songs, corrections, etc to Avinash Chopde (address above)
% ----
